Monday, September 20, 2010

Chand nagari mein hum dhoondtay hi rahay

Faraz in Sindhi

Sindhi Faraz
Woh har waqat yehi kehta rehta tha ke
Aashiq majboor aa bhalay kaido ba kandhar hujay Faraz
.
.
.
.
Jadhan joota lagas ta po khabar piyas ta
Allah sain bachayo na ta waghan ha mari. 

Saturday, September 11, 2010

Ankhiyon Ke Jharokhon Se.....



Ankhiyon Ke Jharokhon Se.........
 
Ankhiyon Ke Jharokhon Se Maine Dekha Jo Saanware
Tum Door Nazar Aaye Badi Door Nazar Aaye
Band Karke Jharokhon Ko Zara Baithee Jo Sochne
Man Mein Tumhi Muskaye Man Mein Tumhi Muskaye
Ankhiyon Ke Jharokhon Se

Ek Man Tha Mere Paas Woh Ab Khone Laga Hai
Paakar Tujhe Hai Mujhe Kuchh Hone Laga Hai
Ek Tere Bharose Pe Sab Baithee Hoon Bhool Ke
Yoon Hi Umar Guzar Jaye Tere Saath Guzar Jaye
Ankhiyon Ke Jharokhon Se...

Jeeti Hoon Tujhe Dekh Ke Marti Hoon Tumhi Pe
Tum Ho Jahan Saajan Meri Duniya Hai Wahin Pe
Din Raat Dua Maange Mera Man Tere Waaste
Kabhi Apni Ummeedon Ka Kahin Phool Na Murjhaye
Ankhiyon Ke Jharokhon Se...

Maein Jab Se Tere Pyar Ke Rangon Mein Rangi Hoon
Jaagte Hue Soi Nahin Neendon Mein Jagi Hoon
Mere Pyar Bhare Sapne Kahin Koi Na Chheen Le
Man Soch Ke Ghabraye Yahi Soch Ke Ghabraye
Ankhiyon Ke Jharokhon Se...

Rakhey Khuda Ne Do Raastey

Rakhey Khuda Ne Do Raastey
 
Rakhey Khuda Ne Do Raastey Mujhe Aazmaney K Liye
Wo CHor Dey Mujhe Ya Me Chor doon Usey Zamaney K Liye
 
Kese maang Loon Rab Se Useyy Bhuul Jaaney Ki Dua...
Haath Uthtey Nahi Hein Dua Me Usey Bhuul Janey K Liye
 
Nahii Ki Zindagi Me Mene Koi Bhi Neki........ ......... ..
Par Parhi He Chup K Kuch Namazein Usey Pane K liye
 
Nahi He To Na Sahi Wo Qismat Me Meri........ ......... ......
Per Ek Moqa To Dey Usey Aey Rab Ye Ansuu Dikahne K Liye

Hum ne Kisi ki yaad main rona hi chor diya.....

Hum ne Kisi ki yaad main rona hi chor diya.....

 Hum ne Kisi ki yaad main rona hi chor diya
Apni Zindagi ko talaash karna hi chor diya
Sab purani baate bhoola diye hum ne
Ab Dil main maazi basana chor diya
Kaanton se bhar dete hain log daaman
Hum ne Aangan main Phool khilana hi chor diya
Kabhi na maange ge kisi se bheek Mohabbat ki
Is hi liye hum ne Pyaar karna hi chor diya?
 

Mujhe jeena sikha do , Pyar karna sikha do
Ye Kehna hi chor diya...???

Aaj jane ki zidd na karo

Aaj jaane kii zid na karo 
yuu.n hii pahaluu me.n baithe raho 
haaye! mar jaaye.ge, ham to lut jaaye.ge 
aisii baate.n kiyaa na karo 

tum hii socho zaraa kyuu.n na roke tumhe.n 
jaan jaatii hai jab uthake jaate ho tum 
tum ko apanii kasam jaan-e-jaa.n 
baat itanii merii maan lo 

waqt kii qaid me.n zindagii hai magar 
cha.nd gha.diyaa.n yahii hai.n jo aazaad hai 
in ko kho kar abhii jaan-e-jaa.n 
umr bhar na taraste raho 

kitanaa maasuum-o-rangiin hai ye samaa 
husn aur ishq kii aaj meraaj hai 
kal ki kisako khabar jaane-jaa.n 
rok lo aaj kii raat ko 

gesuuo.n kii shikan hai abhii shabanamii 
aur palako.n ke saaye bhii madahosh hai.n 
husn-e-masuum ko jaane-jaa.n 
bekhudii me.n na rusvaa karo