Thursday, July 15, 2010

Kab hui pyar ki barsaat

Kab Hui Pyar Ki Barsaat Humein Yaad Nahi,
Khof Mein Dobi Hui Mulaqat Humein Yaad Nahi,


Hum To Madhosh Thay Kuch Itna Uss Ki Chahat Mein,
Uss Ne Kab Chordya Saath Humein Yaad Nahi,

Zindagi Jabar-e-Musalsal Ki Tarah Kati Hai,
Jaane Kis Jurm Ki Paee Hai Saza Yaad Nahi,

Maine Palko Se Dar-e-Yaar Par Dastak Di Hai,
Mein Wo Saahil Hon Jisse Koi Sada Yaad Nahi,

Aao Ik Sajda Karein Aalam-e-Madhoshi Mein A Dost
Log Kahte Hein K Hussain Ko Khuda Yaad Nahi.

Nice Urdu Poetry: Tere pyar ka charcha na karenge

Ghazlo main tere pyar ka charcha na karenge

Hum tujh ko sar-e-aam yuu ruswa na karenge

Q hum pe uthain sang-e-Malamat ki fasilain

Behter hai tere shaher main aya na karenge

Ye chand ye Taaree ye haseen raat ka aalam

Mansoob tere naam se kia kia na karenge

Veeran huay Qasr-e-Tamana K Dareechay

Abad Kabhi pyar ki Dunia na karenge

Her Cheez ki bohtat main Nuqsan Bohat hai

Shiddat se kisi Shakhs ko chaha na karenge

Wednesday, July 14, 2010

Shadi sms

Boy Friend  Husband 
Boy friend is fun,

Husband is gun,

Boy friend is light of moon,

Husband is month of june,

Boy friend is tooty fruity,

Husband is qismat phooti 
*************************************************** 
 
The Equation of Marriage 
The Equation of Marriage:

7 Glance  1 Smile

7 Smile  1 Meeting

7 Meeting  1 Kiss

7 Kisses  1 Proposal

7 Proposal  1 Marriage –

And that 1 marriage has 77777 problems
****************************************************

So beware of glance! 
A lady to another lady: Jab tera divoce huwa tha tab to ek hi baccha tha
Aur AB 3 bacchay kaise
She says: Woh kabhi kabhi maafi mangne AA jate the
****************************************************
Kahin Andher to Kahin Sham hogi
Kahin Andher to Kahin Sham hogi,
Meri Har Khushi tere Naam hogi,
Kuch Maang k to dekh a mere Dost,
Hontoon pay Hansi aur Hatheli pe Jaan Hogi
**********************************************
Last two words in Yes dear
Grooms, once you marry,
please remember that when
you have a discussion
with your future wife,
always try to get the
last two words in:Yes dear
***********************************************

Mujh se bicher gaye

Jo khayal thay na ke yar thay wohi log mujh se bicher gaye
Jo Muhabatoon ki asas thay wohi log mujh se bicher gaye

Jinhain manta hi nahi yeh Dil ‘ Wohi log mairay hain humsafer
Mujhay her tarha se jo raas thay’ Wohi log mujh se bicher gaye

Mujhay lamha bhar ki Rafaktoon’ Ke sarab aur sataien gaye
Mairy umer bhar ki jo Pyas thay wohi log mujh se bicher gaye

Yeh khayal saray hain Aarzi’ Yeh gulab hain saray kaghzee
Gul Aarzoo ki jo Aas thay wohi log mujh se bicher gaye

Jinhain ker saka na kabool main ‘ wo shareek-e-safar howe
Jo mairy talab’ jo mairy Pas thay wohi log mujh se bicher gaye

Mairy dharkanon ke kareeb thay′ Mairy Chah thay′ Maira Khawab thay
Wo jo Roze-O-Shab mairay pas thay wohi log mujh se bicher gaye