Wednesday, July 14, 2010

Mujh se bicher gaye

Jo khayal thay na ke yar thay wohi log mujh se bicher gaye
Jo Muhabatoon ki asas thay wohi log mujh se bicher gaye

Jinhain manta hi nahi yeh Dil ‘ Wohi log mairay hain humsafer
Mujhay her tarha se jo raas thay’ Wohi log mujh se bicher gaye

Mujhay lamha bhar ki Rafaktoon’ Ke sarab aur sataien gaye
Mairy umer bhar ki jo Pyas thay wohi log mujh se bicher gaye

Yeh khayal saray hain Aarzi’ Yeh gulab hain saray kaghzee
Gul Aarzoo ki jo Aas thay wohi log mujh se bicher gaye

Jinhain ker saka na kabool main ‘ wo shareek-e-safar howe
Jo mairy talab’ jo mairy Pas thay wohi log mujh se bicher gaye

Mairy dharkanon ke kareeb thay′ Mairy Chah thay′ Maira Khawab thay
Wo jo Roze-O-Shab mairay pas thay wohi log mujh se bicher gaye

No comments:

Post a Comment