banaya hai mere aasouon par aashiyana apna
jo aaye beech mein sailaab to shikyat naa karna
bani hain deewarein mere dil ke tukdon se
jo dhadkane lage tukde bhi to shikyat naa karna
rangee hain deewarein mere khoon ke katron se
jo tapkane lage beech mein to shikyat naa karna
banee hai chatt mere toote hue armaanon kee
jo gir jaaye beech mein to shikyat naa karna
laga is par mere sabr ka darwaaza hai
jo toot jaaye beech mein to shikyat naa karna
hai kaid mere saansein in fizaon mein
jo aaye meri khushboo to shikyat naa karna

uske liye vo jindagi ke kuch pal the
mere liye vo kuch pal hee jindagi the
mere liye vo kuch pal hee jindagi the
No comments:
Post a Comment