Monday, November 22, 2010

Urdu gazal: O Be-wafa Aa Sun Zara

O Be-wafa Aa Sun Zara 
Meri Rooh Pe Guzreen Jo Qayamtein
Mera Dil Dukha To Bohat 
Magar Merey Lab Pe Ab Bhi Gila Nahi Teraa Bas Naa Tha 
To Kiun Mujhey Naey Mosmon Ki Naveed Di
Tu Mujhey Peshgi Mein Jo De Gaya 
Wo Phool Ab Tak Khilla Nahi Thi 
Jin Mosmon Mein Teri Wapsi Mein Ab Bhi Hoon Unka Muntazir
Par Wo Fasl-e-gul Kahan Reh Gai Mujhey Ab To Kuch Bhi Pata Nahi Tera Raaz 
Jo Mujh Pe Na Khul Saka Mujhey Doosron Se Pata Chala
Terey Ehd-o-pemaan Sey Bharey Huwey Kisi Bhi Lafz Mein 
Wafa Nahi Terey Doston Mein Tera Bharm Rahey 
Yehi Soch Kar Mein Chup Raha
Jo Nigah Mein Tha Wo Chupa Liya Jo Dil Mein Tha Wo Kaha Nahi

No comments:

Post a Comment